News

Thursday, 15 December 2011

Ye jo zindagi ki kitab hai, ye kitab bhi kya kitab hai- Mirza Ghalib

Oh yes,this is the true story! cleanmediatoday.blogspot.com

The Great Mirza Ghalib



Ye jo zindagi ki kitab hai, ye kitab bhi kya kitab hai
kahin ik haseen sa khwaab hai, kahin jaan lewa aazab hai 

Kahin chanw hai kahin dhoop hai, kahin aur hi koi roop hai
kai chehre ismein chupe hue, ik ajeeb sa ye naqaab hai

Kahin kho diya kahin paa liya, kahin ro diya kahin gaa liya
kahin cheen leti hai har khushi, kahin meharbaan behisaab hain

Kahin aansuon ki hai daastan, Kahin muskurahaton ke dil bayaan
kahin barqaton ki hai baarishein, kahin tishnagi behisaab hai 

Ye jo zindagi ki kitab hai, ye kitab bhi kya kitab hai.....






Ghar se nikle the hausla kar ke,
Laut aaye khuda khuda karke...

Dard-e-dil paoge wafa kar ke,
Ham ne dekha hai tajurba kar ke...

Zindagi to kabhi nahi aayi,
Maut aayi zaraa-zaraa kar ke...

Log sunte rahe dimaag ki baat,
Hum chale dil ko rehnuma kar ke...

Kisne paaya sukoon duniya me,
Zindagani ka saamna karke.....

Ghar se nikle the hausla kar ke
Laut aaye khuda khuda karke.





kya ishq ne samjha hai,kya husn ne jaana hai..


hum khaa'knashin logon ki thoka'r me zamaana hai,






हर एक बात पे कहते हो तुम की तू क्या है

तुम्हीं कहो के ये अंदाज़ ऐ गुफ्तगू क्या है?

रगों में दौड़ते फिरने के हम नहीं कायल 

जो आँख से ही ना टपका तो फिर लहू क्या है? 


No comments:

Post a Comment